Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

 

Hazrat Makhdoom Jahanian Jahangasht

 

Rahmatullah Alayh

 

Aap ki wiladat ba  saadt 14 Shabaan 707 Hijri  ko Ouch Shareef mein hui. Aap Syed Kabeer Ahmed Rahmatullah Alayh  ke Farzand arjmand aur Syed jalal Al Deen Rahmatullah Alayh  ke potay thay. Pak o Hind ke aksar Sadaat Bukhari ke jadd hain. Aap Ameer Surkh aur Syed Jalal Aldeen Surkh Posh ke naam se bhi mashhoor hain. Is ke ilawa Hazrat Makhdum Jahangasht Rahmatullah Alayh  ian Jahangasht Rahmatullah Alayh  gasht Rahmatullah Alayh  ke  naam se bhi mashhoor hain.

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Jab Hazrat Sheikh Makhdum Jahangasht Rahmatullah Alayh  ian Jahangasht Rahmatullah Alayh   saat baras ke hue to Hazrat Syed Kabeer Ahmed Rahmatullah Alayh  aap ko Sheikh Jamal Khandan Ro Rahmatullah Alayh ki khidmat mein le gaye aur un ki dast bosi karwai. Hazrat Sheikh jamal Khandan Ro Rahmatullah Alayh  ne farmaya kay tum woh sahib zade ho kay apne khandaan ko bhi roshan karo ge aur apne shyokh ke khandaan ko bhi .

Aap ne ibtidayi taleem apne waalid aur apne chacha Syed Mohammad Bukhari Rahmatullah Alayh  se haasil ki aur Hadees ka dars Hazrat Sheikh Jamal Khandan Ro Rahmatullah Alayh  se haasil kya. Fiqa aur usool ki kitaaben qaazi Bahao Aldeen se parheen. Is terhan aap ne mukhtalif shyokh se taleem haasil ki jin mein Sheikh Musa, molana Amjad Aldeen ' molana Shah Rukh Aalam, molana Razi Aldeen . Imam Abdullah Yafi aur sheikh e Madinah Abdullah Muatri qabil zikar hain. Aap ne talab e ilm ke liye daur daraaz ke safar kiye. Jahan  kahin Ilmi shakhsiyat ka pata chalta aap un ki khidmat mein haazir ho jatay .

Hazrat Makhdum Jahangasht Rahmatullah Alayh  ne pehla Khirqah khilafat apne waalid Sheikh Ahmed kabeer Soherwerdi Rahmatullah Alayh  se paaya. Dosra Khirqah khilafat aap ne Hazrat Sheikh Rukan Aldeen Multani Soherwerdi se paaya aur barson un ki khidmat mein rahay. Is ke ilawa silsila Chishtia mein aap ne Hazrat Khwaja  Naseer Al Deen Chairag Dehalvi Rahmatullah Alayh  se bhi Khirqah khilafat haasil kya .

Aap ne Sindh aur Punjab mein tableegh ki khatir bohat safar kiye. Sahib e Aab e Kousar aap ki tableeghi sar garmiyon ka jaiza letay hue likhte hain kay maghribi Punjab ke jin qabeelon ne Hazrat Makhdum Jahangasht Rahmatullah Alayh ke haath par islam qubool kya Bahawal Pur ke sarkaari gauzzet mein un ki fehrist mojood hai. Un mein rajpoton ka mashhoor aur bara qabeela Kharl aur is ke ilawa Somro ,Chadar , Mazari, Warn aur deegar qabail ne aap ki wajah se islam qubool kya. Riwayaat ke mutabiq aap ki mulaqaat Changaz  Khan se bhi hui jo pehlay aap ka mukhalif  tha magar baad mein is ne apni aik beti ki shadi Syed Jalal se kar di jo musalman ho gayi .